for ahadees visit
Hazrat Muhammed S.a.w.w k farman e mubarik
Hazrat Muhammed S.a.w.w k farman e mubarik
Na jAnney q meri ankhon mien a gaye ansoo
sikha raha tha mien bachey ko karbala likhna
bashar ki sar bulandi mien bhi koi raaz hota hai
jo sar de de sar e maidan wo sarfaraz hota hai
jahan se khatm hoti hai hadood e aql e insani
wahien se murtaza(a.s)ki shaan ka aghaz hota hai
Islam ko Fanna se bachany k wastey
Qudrat ny Karbala mien pukara hussain(a.s) ko
Allah se karey door to Taleem bhi fitna
imlak bhi olad bhi jagir bhi fitna
na haq k liye ithey to shamsheer bhi fitna
shamsheer hi kia nara e takbeer bhi fitna
Mubahiley k liye aye jab udhar waley
magar ye baat bhi thi thy bht nazar waly
har ik ko dekha kaha ab mobahila na karo
rasool chhant k laye hien ghar waly
ulfat hai tujhey ghar se makinon se gila hai
ey shiekh bata kia yehi dustoor e waffa hai?
jis kabey k chaker se tera g nai bharta
wo kabba murtaza(a.s) ki wilayat ki jaggah hai
Qatl e shabeer mien ghairon ka koi haath nai
in mien to hafiz e QUraan nazar aty hien
Fakhr e Maryam ka jo maqtal se guzar hota hai
Muskuraty huwey kabbey ko Ali(a.s) yaad aty hien
afzal hai qul jahan sey gharana hussain ka
Nabiyon ka tajdar hai nana hussain ka
Ik pal thi bas hukumat yazeed ki
sadiyaan hussain ki hien zamana hussain ka
nazar ka noor jisey dil ka chain kehtey hien
Nabi bhi jis ko apni ibadat ka zain kehtey hien
Jo apni jaan gunwadey hifazat e haq mien
usey dil ki lughat mien hussain kehtey hien
Abhi to Zulm ko logon taweel hona hai
Hussainiat ko Amr ki daleel hona hai
Yazeed key muqadar mien saaf likha hai
Yazeed ko hamesha zaleel hona hai
Imran sey acha koi sultan dekha do
jis jis ka bhi ho islam peh ehsaan dikha do
hmm ney to saja rakha hai qasr e Abutalib
Tum bhi to koi qar e Abu sufian dekha do
Khoon sey charagh deen ka jalaya hussain ney
Rasm e wafa ko khoob nibhaya hussain ney
Khud ko to Ik boond pani bhi na mil saka
karbal ko khoon pilaya hussain ney
Utha hai jo matam ko azadar ka panja
tehzeeb key seena peh hai Iqrar ka panja
har dour mein har Zulm key inkar ka panja
paanch ungliyaan hien paanch key iqrara ka panja
Islam ki bunyad ka dhancha hai yeh panja
rukhsar e yazeedi peh tamacha hai ye panja
Asmat sey bana hai merey shabeer ka paikar
Tu nar hai woh Noor ki Tanveer ka paikar
Takhreeb tera azm hai wo tameer ka paikar
tu najis sarapa hai wo tatheer ka paikar
Tu jismon ka hakim hai wo zehnon ka wali hai
Tu maviya zada hai wo hussain ibne ali hai
Hur ko dekha na tha iss zeb o zen sey
Insaan ban gaya farishta mil kar hussain sey
Jab karbala mien aye aseeran e karbala
barpa huwi thi majlis e sultan e karbala
taza huwa bayan shaheedan karbala matam sey goonjney laga maidan e karbala haq per jo fida hogaye karbal ki zameen per
barpa hai usi lashkare jarar ka chehlum
Ey deen key mufti tu aqeedat ka safar dekh
har matami ki khoon sey alooda qammar dekh
jis ney jahan bhi rokna chahi azadari
tareekh mien tu un kameenon ka hashar dekh
har samt sey aye gi matam ki sada tujh ko
tu fatima zehra ki duaaon ka asar dekh
Missal majlis e sarwar miley to ley aao
Jo ansoon ka samandar miley to ley aao
nabi key baad rehbar bana liye lekin
koi ghadeer sa mimber miley to ley aao
Nikal kar naar sey janat mien a kar hur bola
Kisi ka aisa muqadar miley to le aao
Azal sey le kkar abad tak hmara dawa ha
koi Hussain sa rehbar miley to ley aao
Hoti Na Wilayat Jo IBRAHIM K Dil Men
Phir Aag K Sholay Kabhi Gulzar Na Hote
Parrhte Na Agar, Naad-E- ALI, Hazrat-e- NOOH Bhi
Iss Paar Hi Rehte Kabhi Uss Paar Na Hote
Bachta Na Halaakat Se MOHAMMAD Ka Sahaabi
Gar Mere ALI Uss K Madadgaar Na Hote
tu Ne To Faqat Iss Liye Maana Hai ALI Ko
HAIDER K Bina Yaar Kabhi Chaar Na Hote
Hota Na Gar ABBAS o HAIDER Ka Gharana
Duniya Men Alam Hota Alamdaar Na Hote
Sajde Men Ye Sar Rakh K Kabhi Pooch KHUDA Se
Kya Hota Agar, HAIDER-E-KARRAR Na Hote.
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Hasher Tak Koi Yazeede Sar Utha Sakta Naheen
Jis Ka Mutlab Zindagee Bher Deen Chuka Saktna Naheen
Jis Ka Mutlab Zindagee Bher Deen Chuka Saktna Naheen
Fatima Key Lal Ney Aehsaan Aesa Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Ker Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Teri Qurbanee Sey Pehley Deen Ko Aya Na Chain
Umbeya Sey Bhee Mukamal Jo Na Ho Paya Hussain
Umbeya Sey Bhee Mukamal Jo Na Ho Paya Hussain
Ek Sajdey Ney Tarey Woh Kaam Pora Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Zinda Rahnay Ke Liye Shah Ki Aza Kafi Hai
Hum Ko Bas FATIMA ZEHRA S.a Ki Dua Kafi Hai
Chahay Kitni Hi Mukhalif Ho Zamanay Ki Hawa
Hum Ko ABBAS A.s Ke Parcham Ki Hawa Kafi Hai
jab mohammad ko bulaya gaya ka meraj ki rat
arshe rahman sajaya gaya meraj ki rat
mezbani ke liye kabe ka maulood aaya
intezam us se karaya gaya meraj ki rat
ruke qausain pe sardare malayak jibreel
par bashar aage badaya gaya meraj ki rat
abdo mabood me na jane hui’n kya bate’n
zaria maula ko banaya gaya meraj ki rat
aa ke khud le gayi mahboob ko zate wajib
aasmano me ghumaya gaya meraj ki rat
kabe se rishta jo aaya tha nabi ke ghar me
ladke ka mulk dekhaya gaya meraj ki rat
bhai ka hath pase parda nazar jab aaya
dil me khushiyo’n ko samaya gaya meraj ki rat

Kiya Puchty ho Hum ko Mila Kia GHADEER mein?
Hum nay NABI s.a.w.w say Paya hay MOLA a.s GHADEER mein..
Hum nay NABI s.a.w.w say Paya hay MOLA a.s GHADEER mein..
TaarikiyOn say Keh do Kahein Dur Ja Basein,,
Momin ko Mil Gya Hay Ujaala GHADEER mein..
Momin ko Mil Gya Hay Ujaala GHADEER mein..
Zulm O Sitam ki Dhup Jala Paye Gi Na Deen,,
Ruh KARBALA say Mil Gyi Saaya GHADEER mein..
Ruh KARBALA say Mil Gyi Saaya GHADEER mein..
Kufar O NafaQ,Bughz Sub Roty Hain Aik Saath,,
ISLAAM Hans Raha hay Akela GHADEER mein..
ISLAAM Hans Raha hay Akela GHADEER mein..
Munkir Hay Jo Wilayat-e-HAIDER a.s ka Ba’KHUDA,,
Us Par Azaab Arsh say Aaya GHADEER mein..
Us Par Azaab Arsh say Aaya GHADEER mein..
AL’YOM Parh Rahy Hain Pta Kuch Nahi Magr,,
QURA’AN Keh Raha Hay Hua Kia GHADEER mein..
QURA’AN Keh Raha Hay Hua Kia GHADEER mein..
ALLAH ki Azeem Adalat mein Jo Hua,,
Wo Faisla NABI s.a.w.w nay Sunaya GHADEER mein
Wo Faisla NABI s.a.w.w nay Sunaya GHADEER mein
Karbala Nasib Se Jana Nasib Ho
Pher Laut Kar Wahan Sa Na Ana Nasib Ho
Aisa DAR-E-HUSSAIN A.S Pe Sajda Ho Akhri
K Mujha Apna Sir Na Uthana Nasib Ho
Pher Laut Kar Wahan Sa Na Ana Nasib Ho
Aisa DAR-E-HUSSAIN A.S Pe Sajda Ho Akhri
K Mujha Apna Sir Na Uthana Nasib Ho
Na Masjid, Na Madarasa, Na Falsfa, Na Kalaam
Suboot_e_Haq K Liye Bas Hussain [a.s] Kafi Hay…
"Shabbeer (A.S) agar dil mein tera naqsh-e-qadam hai,
Kuch khof na mehshar ka, na a'amaal ka gham hai;
Yeh raaz khula Hurr (R.A) kay muqaddar say jahan mein,
Jannat tau teray aik tabassum say bhi kam hai."
No comments:
Post a Comment