Sunday 31 August 2014

New Latest SHia Poetry

Asha'ar on Wali Al-Asr, Imam e Zamana (A.J.F)

“Har raat Ibn-e Haidar-o-Zehra (A.S) ki yaad ho,
Har din Zahoor-e-Wali-o-Aqa (A.S) ki aas ho;
Ik aur eid aa gai, Mola (A.S) nahin aaye,
Bus yeh khayal-e-dard-o-a’lam saath saath ho.”


“Mein ye nahin kehta ke mujhay piyar nahin hai,
Faryaad tumhari koi baikar nahin hai;
Sunta hun, tarhapta hun, par majboor hun mein bhi,
Aaney se agarchay mujhay inkaar nahin hai;
Mein aaj hi aajaun, mujhay aar nahin hai,
Lekin mera lashker abhi tayyar nahin hai.”

"Ye 14 hain tau ILAHI, nizaam zinda hai,
In hi kay naam say Khaaliq ka naam zinda hai;
Manna kay jashn batatay hain hum zamanay ko:
Hum hi wo loag hain jin ka Imam (A.S) zinda hai."


"Sehar qareeb, andheron ko door hona hai,
Zaleel dushman-e-Deen ko zaroor hona hai;
Bata rahi hain ye tabdeeliyan zamanay ki,
Kisi Wali (A.S) ka yaqeenan zahoor hona hai."




"Ay baagh-e-Askari (A.S) kay muqaddas tareen phool,
Ay ka'abaa-e-farogh-e-nazar, qiblaa-e-usool,
Aa, hum say kar khiraaj-e-dil-o-jaan kabhi wusool,
Teray baghair hum ko tau jannat nahin qabool;
Duniya, na maal-o-zarr, na wazaarat kay waastay,
Hum ji rahay hain teri ziaarat kay waastay."


"Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),
Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A);
Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),
Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza."


"Momin ki har sada ko tera intizar hai,
Eeman ki baqa ko tera intizar hai;
Phir rooh-e-inqilab ki haajat hai deen ko,
Aa ja kay La Illah ko tera intizar hai;
Sab ki yeh aarzu hai kay raah-e-Khuda milay,
Lekin Khuda ki raah ko tera intizar hai;
Parda hata kay dekh, meray daur kay Hussain (a.s),
Bay-chain Zulfiqar hai, bay-taab Murtaza (a.s),
Abbas-e-ba-wafa (a.s) ko tera intizar hai."


"Ali (a.s) kay Laal (a.j.f) say Haq ka nishaan baqi hai,
Imam (a.j.f) hain tau yeh sara jahan baqi hai;
Na apnay zor pay itna uchhal aye munkir,
Ali (a.s) kay ghar ka abhi ek Imam (a.j.f) baqi hai."

"Mujh say mera Imam (a.j.f) buhat door, door hai,
A'amaal hain buray meray, mera qusoor hai;
Taqwa nahin hai hum mein, haqeeqat hai doston,
Kesay milay wo hum say? Wo Allah ka noor hai!"

"Gar ho meri hayat meray ikhtiyar mein,
Sadiyan guzaar doon ga teray intizaar mein;
Maula (ajf) ab ap parda-e-ghebat uthayye,
Do (2) din tau zindagi kay guzaroon bahar mein."

"Sadiyan bhari hain yun tau meri aankh mein, magar,
Chubhta hai aik lamha bhi ab intizar ka;
Har baar chaand dekh kay maangi hai yeh dua,
Yeh maah akhri ho teray intizar ka."

 


RAMAZAN UL MUBARAK :

Daman main lay kay rehmatoon ka samaan aa gaya
Mubarak har ik momin ko Mah e RAMZAN aa gaya

Bakshish kay dar khulay dozakh hue thandi
ALLAH ki inayatoon ka saibaan aa gaya

Bana lo jannat main ghar aamal sanwar loo
Ramzan aik mah ka mehman aa gaya

Iblees qaid ho gaya ALLAH kay hukm say
ALLAH ki seedhi rah ki pehchaan aa gaya

Saftain sabr o taqwa ka hay dars ye ramzan
Gunahoon ko kernay loogoon kay bejaan aa gaya                                                                                                              To Subit Your Shairi Cliick Here

Top 10 Highest Rated Islamic Sms:


1.   Category: Islamic Poetry 
    ULFAT KI WASTE HO YA AZMAT KI WASTE YA AHL-E-DEEN KI KHAS IBADAT KI WASTE HUM TO YEH SAMJHTE HAIN AE MURTAZA ALI (SA) KAABA BANA HAI TERI WILADAT KI WASTE
  5 stars
2.

"NIJAT KI JAB SABEEL KERNA" "HUSSAIN A.S JESA WAKEEL KERNA" "HO SAR KE BADLE HUSSAIN A.S MILTA" "TO ZINDAGI KYUN TAWEEL KERNA" "HUSSAIN A.S FEHMI SIKHA RAHA HAI" "NABI AS KA SAJDON MAIN DHEEL KERNA" "KHAYAL-E-ZIBH-E-AZEEM AYE" "TO ZIKR-E-FAKHR-E-KHALEEL A.S KERNA" "SUNO PAYASON KO RONE WALO !!" "KABHI NA ANKHEN BAKHEEL KERNA" "HUSSAIN A.S SE MANGNA HO HASSNI !!!!!" "TO KHAWAHISHEN KYUN QALEEL KERNA"
3.

ABBAS(A.S) FATIMA(S.A) KI TAMANA KA NAAM HAI, ABBAS(A.S) KA JAHAN MAIN NIRALA MAQAM HAY, BAARA IMAM MAZHAB-E-ISLAM MAIN HOOAY, YEH MAZHAB-E-WAFA KA AKAILA IMAM HAI.
4.                             

Baad-e-Naseem kehti hy her gul ko cherr kr tum b tu muskara k kho YA ALI MADAD, hum me kaha tu mord-e-ilzam ho gaye Khyber mai khud Nabi ne kha YA ALI MADAD momin ke hai sada Qalandar ka Qoul hai munkir ka dil jala k kho YA ALI MADAD so kar khuda ke sari razaen khareed lii jibreel jaga k kha YA ALI MADAD mohsin mere lahad mai wo manzar ajeeb tha jaab mai ne khud ALi se kha YA ALI MADAD
5.

chand dekho jo naya rab se ye dua krna kisi behen ko na bhai se too juda krna jab naye ssal ki taqreeb ka sawal aaye mere hussain –as- k matam se ibtada krna
6.                         

ISALAM KEY WAJOOD KA IMKAN HE NA THA, IS DHAR MEY HUSSAIN(A.S)KI TANZIL KEY BAGAIR, SHABIR(A.S)HAI WO MUSHAF-E-NATAQ,JO DOSTON, ZEHRA(S.A)KEY GHAR MEY UTRA HAI JIBREEL(A.S)KE BAGAIR,



TAGS


shia sms, ramzan sms,ramadhan shai sms, ramzan shia sms, 
imam-e-zamana ashar, shayari imam-e-zamana, qaseeda imam e zamana

Newest Islamic Sms & Shairi

1.   Category: Islamic Poetry  5 stars
    Ya Panjatan ki ghulami bara sila degi***Gulab ki thara chehra khila day gee***Mat Chorna Kabhi Daman AHL E BAIT ka***Ya bandagi Tumhain MOULA say mila day ge
2.   Category: Islamic Poetry  5 stars
    kahani os wahid wa lashareek ki bikhar jati jatay jo na hussain to bhala toheed kidhar jati wo aik sajda jo na karta hussain karbal mai bin moot namaz-e-asar waqat-e-asar mar jati asad raza asad
3.   Category: Shahdat SMS & Shairi  0 stars
JJo aankh gham e Hussain(a.s) mein na roey wo aankh kia hai jis dil mein shaheed e karbala ki yaad na ho wo dil kia hai Agr momin ho tou aansuon se Bibi Paak(a.s) ko pursa do Ahle Baiyat se mohabbat ka izkhar na karein tou hm muslamaan kia hein (poetry)Gullrukh.k.hussain
4.   Category: Wiladat SMS & Shairi  0 stars
Bata rahi hain Ka'abay mai Mojood Dara'rain. Is ghar nay buhat Toot k chaha hai Ali (A.S) ko
5.   Category: Mix SMS  3 stars
CBata rahi hain Ka'abay mai Mojood Dara'rain. Is ghar nay buhat Toot k chaha hai Ali (A.S) ko
6.   Category: Islamic Poetry  0 stars
agr koi tm se poche k zndagi kia hy to zra c hathely pe khaak rkhna or ura dena Hzrt Ali a.s Al-Asr Group Pak
7.   Category: Shahdat SMS & Shairi  0 stars
    HURR ko shahaadato`n ke chaman ki talaash hai, JUGNOO ko surajo`n ke Watan ki talaash hai, Ek BEKAFAN ke RAUZE ka EJAAZ dekhiye, DUNIYA ko KARBALA ke KAFAN ki talaash hai.
8.   Category: Tabara  5 stars
Quraan jisko tera hawaala nahi mila, Aankhe to mil gayi hai ujaala nahi mila, Farshe zamee'n pe bolnewale bahot mile, Nok-e-Sina pe bolnewala nahi mila. 
9.   Category: Islamic Poetry  5 stars
kash ye raaze nehan hum pe bhi zaahir hi jae,aur ye sabr talab waqt bhi aakhir ho jae,aa karun zikr koi aisa teri bzm me aaj,misle firdause barin bzm ye tahir ho jae,aa hi jaega nazar hum ko qamar jald bhale,abr posheedgie mahr me mahir ho jae,hum zahoore rukhe raushan ke sawali thehre,jld az jld zahoore shahe aakhir ho jae.(
10.   Category: Islamic Poetry  0 stars
Abu Talib ka hai Imaan kya pocho Pyamber se Parrha Aqde Khadeeja jisne apne deen ke sarwar se Bhateeje ki hifazat k liye harshab Abu Talib Jagah tabdeel karte rehte thay Bhai ke bister se

No comments:

Post a Comment