Sunday, 31 August 2014

Hussaini Mission

Hussaini Mission


Yazeediyat(lanat) ko ye wehm q hai k sirf ek din hisab hoga??
HUSSAIN(as) say jo jahan bhi uljha wahin pay khana kharaab hoga!!
Wo mouj mein hai jis ko mila hai gham-e-HUSSAIN(as)

Qasr-e-iram tu is k liye sang-o-khisht hai!
Jis saltanat pay raaj hai meray HUSSIAN(as) ka..
Oss saltanat ka aik jazeera Bahisht hai!!
Shuja'at ka sadaf menara-e-almaas kehtay hein

Ghareeboun ka sahara baykasoun ki aas kehtay hein
Yazeedi(lanat) sazishein jis k alam ki chaaoun say lerzein
Osay arz-o-sama walay sakhi ABBAS(as) kehtay hein!

Aey Falak Bakht Musaafir Hamein Too Yaad Aea
Aaj ki subh mah-o-sal kay aieney mein
Phir terey khoon ki poshaq pehan kar aaee
Phir dil-o-jaan mein terey qurb ka mosam utra
Phir terey dard ki soghaat muyassar aaee
Aankh mein phir se dehakney lagey khuabon kay gulaab
Phir saba khaak ba sar noha ba lab guzri hay
Phir isi soch mein ghaltaan hay qabila apna
Umr guzri kay terey hijar ki shab guzri hay
Too ne seeney pay sajaai hein kharashein jis ki
vo qiamat bhi kisi aur pay kab guzri hay
Dil ne jab jab bhi teri simt palat kar dekha
asaj gai raah mein bay reham saleebon ki qitaar
Khaak-e-maqtal pay damakney lagey ashkoon kay nujoom
Chashm-e-qaatil se barasney lagey nafrat kay sharaar
Phir se har taar-e-girebaan pay lagi jabr ki muhar
Khich gaey taa ba falak zulm-u-tashaddad kay hisaar
juz terey kis se kahein ham kay kahaan khatm hooaa
Taziaanon ki zubaan choomtey zakhmon ka shumaar
Aankh mein tair gaey phir teri khushbu kay bhanwar
Phir se qismat ko jagaaney lagey subhoon kae safer
Teri jurrat kabhi talwaar ki surat chamki
Teer ban kar kabhi ubhri teray jazbon ki lakeer
Baarish-e-sang mein jab qeht-e-namoo yaad aaeaa
Tera sach bolta bay bak lahoo yaad aaeaaJab koi cheekh
 tah-e-jabr-u-sitam dafn hooiAhl-e-zindaan ko
 tera nara-e-hoo yaad aaeaaJab dar-e-harf-e- sadaaqat pay koi qufl parra
Tera aizaaz-e-rasan tauq-guloo yaad aaea
aJab bhi maqtal mein koi chaand hooa zeenat-daar
Aey falak bakht musaafir hamein too yaad aaeaa





Wafa ka zikr kare zikre bawafa na kare,
kisi mei itni ho koshish kbi KHUDA na kare,
hum us faqeer ko khairaat b nai dete,
jo PANJETAN k waselay se ilteja na kare,
ibadatoun pe wo khud apni Fatiha parh lyn,
jo SHAH E DEEN ki kbi majlis e aza na kare,
ALI k nam se jinhe roshan kia jaye,
hifazat aise charaghoun ki q hawa na kare,
koi jo mange SAKINA ka wasta de kr,
tou keise hoga k ABBAS wo ata na kare!
YE KHUTBA HAZRAT ABBAS(AS)KA FOUJ E YAZEED(LA)SE
Kya karoun ek ehad ka paband houn warna,
dikhlaoun mei KARRAR ka KHAIBAR mei utarna,
jis rukh se b hoga mera ek br guzarna,
jine se bhala lagne lage ga tmhyn marna,
wo khoaf bitha doun ga mei sansoun mei abi se,
kanpo ge na guzro ge ALAM wali gali se!


Aab Aur Aatish Ek Jaam, 
Jis Waqt Hotien Hain Baham,
Bhaap Ki Surat Me Ban Jaata Hai Paani Ashk-E-Gham
,Ab Bata’o Baaz Aayen Kis ‘Tarhe Giriya Se Hum,
Royen Ge Jab Tak Baaqi Hai Yeh Dam Me Dam,
Naaz Hai Mohsin Humhe Apne Shalakte Jaam Par,

Hum Bahatien Hai Yeh Ansoo’n Tishnalab Ke Naam Par,
E-Shaheed-E-Kerbala Ke Gham Ke Ghamkhwaro’n Utho,

E-Nabi Zaadi Ki Beti Ke Albelay Guneghaaro’n Utho,
Kis Liye Behte Ho Mowla Ke Azadaro’n Utho,
Ghaar Do Har Ek Bulandi Pe Alam Islam Ka,

Aur Kalimah Parwa Do Hussain Ibn Ali Ke Naam Ka…


Badhti hai barhami si zara noor-e-ain mai
Milta hai izteraab yunhi dil kay chain mai
Sailaab daikhta hon toh aata hai yeh khayal
Paani bhatak raha hai talaash-e-Hussain mai
Badli museebton ki jo chaai thi chhat gayi
Mushkil meri hayat kay raston say hat gayi
Mai nay ALI ka naam liya jab jalaal mai
Ghabra kay meri maut bhi waapas palat gayi


LAIN A AZAM BHARAK NA ITNAA BANT LATA HAIN BHAKHAT APNA
BANU UMIA KEE NASAL TARIBAS AIK SHAH A MASHRAQUEEN MARA
KHUDA KEE LANAT TARA MUKADARKHUDA KEE REHMAT MARA NASIB
MUJ KO TO MANZOOR HA YA SODA YAZID TARA HUSSAIN MARA


Mujhe Sukhn Ka Saleeqa Mila Tere Darr Se
Zameen e Fikr Pe Bikhra Hua Hai Rang Tera
Azl Se Tu Mera Dataa Hai Ae Uloom Ke Darr
Abd Talak Mei Gadagar Tera, Malang Tera

No comments:

Post a Comment